Saturday, 6 October 2012

Koe Suny ga To kia kAhay ga



Kisi ki khatir karar khona koe suny ga to kia kahay ga
Tumhara raat ko uth kr rona koe suny ga to kia kahay ga
Zamana ahid-e-shabab ka hai nae khawab-o-khayal ka hai
Shab-e-bedari or din ka sona  koe suny ga to kia kahay ga
Bhanwar main tum mjh ko chorr  atay ynhi muhabbat ka raz rehta
Laa k sahil py yn dabona koe suny ga to kia kahay ga
Kaha ye main ny daro KHUDA sy k hai KHUDAI ka khof  tm ko
Hans k bolay CHUP raho koe suny ga to kia kahay ga

Kisi Rooz Sham K Waqt



Kisi roz sham k waqt
Soraj k aram k waqt
Mill jae mjhay sath tera
Hath main lay k hath tera
Door kahe tanhae main
Dunia sy judai main
Apny sang bethao tujhay
Dil k gham sunao tujhay
Zaat main teri aisi khoo jao k
Khud ko bynam kro
Teray hatho ki lakero main
Talash anpna nam kro
Chalo isi waqt irada krain
Phr milny ka wada krain
Kisi roz sham k waqt
Soraj k aram k waqt

Kia Likho Tere Nam Sajna



Kia Likho tere Nam Sajna
Tujhay Socho Subha Sham Sajna
Neeli Jheel Ka Pani Tm
Muhabbat Ki Ik Kahani Tm
Piyar K methay Bol Ho Tm
Hr ik sy unmol ho tm
Tm asman Ka Badal ho
Tm meri ankho ka kajal ho
Meray Mann ki Jeet ho tm
Meray Labo Ka Geet Ho tm
Chaman Main Khilta Gulab Ho tm
Chahat sy Likhi Kitab ho tm
Meray liay tm sanam ho
Jo tot na sakay wo Kasam Ho tm
Kia Likho teray nam Sajna
Tujhay Socho Subha sham sajna

Khuwahisho k Zahr Main Ikhlas ka RUSS ghoul kr



Khuwahisho k Zahr Main Ikhlas ka RUSS ghoul kr
Wo to Pathar ho gya 2,4 din Hans Bol kr
Dil Hajom-e-Gham Ki Zad main tha Sanbhalta Kb tak
Ik Parinda Andhio Main Rah Gaya Par Tool kr
Apny Honto py Saja Lay Kimati Hiro sy Lafz
Apni Surat ki tarha Batain Bhi to Unmol kia Kr
Ajj Uski Had-e-Bakhsish Hai Teray Sir sy buland
Ajj Apny Sir Sy bhi Oncha Kashkol kr
Band hatho ka muqadar the Sbi kirnain
Saray Jugnu Urr gy daikha Jo Muthi Khol kr